(Andheri raahon mein mile na mile humsafar

Yuhi tum befikar chalte raho
Nigahon mein kahin sapno ka hai basar
Sitaaron si raatbhar jalte raho)

Ho khud pe ho aitbaar to mumkin hai sabhi
Zamana tumse hai zamaane se tum nahi
Andheri raahon mein mile na mile humsafar
Yuhi tum befikar chalte raho

(Dhadkane gaye jo san gungunaye sama

Paao mein ho zameen sar pe rahe aasmaaan)
Hosla kam ho na kabhi chahe jo halaat ho
Bekasi mein chupi hui nagmo ko pehchaan lo
Andheri raahon mein mile na mile humsafar
Yuhi tum befikar chalte raho

(Kho gaya jo gaya aaye na phir woh kabhi
Gum mile ya khushi shikwa na kar zindagi)
Bezubaaan khawashiyon ko tum apni awaaaz do
Jee lo jee bhar aaj tum phir yeh pal ho na ho
Andheri raahon mein mile na mile humsafar
Yuhi tum befikar chalte raho
Nigahon mein kahin sapno ka hai basar
Sitaaron si raatbhar jalte raho

Comments