Mudke dekho yeh kya hua
Bol zaraa kiski khataa
Is sawaal ka jawaab kya
Hai tujhe pataa, toh mujhe bataa
Tha falak mera, thee meri zameen
Kahen ka main ab raha nahin
Tanha sa ab rehe gaya
Khamosh zubaan sab sehe gaya
Yeh koi faisla nahin
Hausla yeh toote nahin
Iraade hai yeh, wade jhoothay nahin
Aankhen hain nam, bas karo
Gum ka mausam, bas karo
Silsila yeh bas karo
Yeh hee
Aakhri yeh rehem karo
Jung ka aalam bas karo
Bas karo, bas karo
Yeh Khel!
Kya teri majboori thee
Siyaaasat kya zaroori thee
Karte gaye tumpe yakeen
Humaari yeh majboori thee
Girke bhi sambhalna hai
Sambhalke saath chalna hai
Raaste dhundhle sahi
Par yeh manzar badalna hai
Ab nayee subha hogi
Khilegi nayee roshni
Beet gayee hai, gum ki chandni
Aankhen hain nam, bas karo
Gum ka mausam, bas karo
Silsila yeh bas karo
Yeh hee
Aakhri yeh rehem karo
Jung ka aalam bas karo
Bas karo, bas karo
Yeh khel