Woh kehtey hain na, jo hota hai achay kay liyeh hota hai
Ghalat kehtey hain
Qismat ka khel hai sara
Phirta tha mai aawara
Yeh kya say kya hogaya
Char din zindagani
Har pal ek naee kahani
Kya tha mai kya ban gaya
Kya howa jo laree choti
Jeevan ke gaari looti
Khuwab hai tou mujh ko na jaga
Zindagi ek pal mai saali
Yunh palat gae humari
Jhoot hai tou mujh ko na bata
Mumbai
Suna tha yahan admi poori zindagi apni qismat, slow track say fast track lanay mai nikal deta hai
Par dhaee ghantey mai meri qismat, aisey slow track say fast track par aa jai ge yeh mainay kabhi socha nahi tha
Saza maza ban jai gee, yeh bhi kabhi socha nahi tha
Last local kya choti hai, sala qismat patri par aa gae hai
Kar lo jo bhi karna hai
Hota hai jo hona hai
Guzra tou pal yeh phir na aai ga
Kya burra hai kya bhala hai
Waqt he shayad khuda hai
Ho janey do phir dekha jai ga
Kya howa jo laree choti
Jeevan ke gaari looti
Khuwab hai tou mujh ko na jaga
Zindagi ek pal mai saali
Yunh palat gae humari
Jhoot hai tou mujh ko na bata
Woh kehtey hain na, jo hota hai achey kay liyeh hota hai
Sahi kehtey hain