Zara nazron se keh do ji nishaana chook na jaye
Zara nazron se keh do ji
Maza jab hai tumhari har ada qaatil hi kehlaye
Zara nazron se keh do ji

Qaatil tumhe pukarun ke jaan-e-vafa kahun
Hairat mein pad gaya hoon ke maein tum ko kya kahun
Zamaana hai tumhaara
Zamaana hai tumhaara chaahe jiski zindagi le lo
Agar mera kaha maano to aise khel na khelo
Tumhaari is sharaarat se na jaane kis ki maut aaye
Zara nazron se keh do ji

Haye, kitni maasoom lag rahi ho tum
Tumko zaalim kahe vo jhootha hai
Ye bholaapan tumhaara
Ye bholaapan tumhaara ye sharaarat aur ye shokhi
Zarurat kya tumhen talwaar ki teeron ki khanjar ki
Nazar bhar ke jise tum dekh lo vo khud hi mar jaye
Zara nazron se keh do ji

Hum pe kyun is qadar bigadti ho
Chhedhne vaale tumko aur bhi hain
Bahaaron par karo gussa ulajhti hain jo aankhon se
Havaaon par karo gussa jo takraati hain zulfon se
Kahin aisa na ho koi tumhaara dil bhi le jaye
Zara nazron se keh do ji

Комментарии