Voh ek ladkaa tha Voh ek ladki thi
Is se aage main kuchh kahun
Voh na khoobsoorat tha
Voh dance karti thi
Aage main kya kahoon
Voh usko chaahta tha
Voh bhi na apna pyaar kabhi chhupati thi
Baat pahunchi doston tak
Naak unki chad gayee
Ye bhi koyee baat hai tum kahaan voh kahaan
Ladki ne us skater ko
Kahaa zaraa aaeena dekho
Mjh ko soorat chaahiye jo tum mein kahaan
Ladki khoobsoorat thi
Thi vo aasman par
Zameen par laane ki zaroorat thi
Paanch saal beet gaye
Voh ghar mein akeli thi leti
Bache ko dudhu pilaa rahi
Kambal mein thi sameti
Usne TV ka remote dabaaya
Dekh ke voh rah gayee dang
MTV par jhoom rahaa tha
Uska voh skater parchand
Ladki ne doston ko phone kiya
Lekin voh sab jaanate the
Show ki ticket jeb mein lekar
Jaldee jaana maangate the
Bheed se voh dekh rahi stage par chamakta diya
Uske ahankaar ne jo ek din tha thukraa diya
[Ladki ne us skater ko
Kahaa zaraa aaeena dekho
Mujh ko soorat chaahiye jo tum mein kahaan
Ab voh guitar waala hai
Chamakta sitaara hai
Khoobsoorat aankhon ne dekhaa vo pahunch chukaa kahaan]-2
Jaise show khatm huyaa
Ek ladki us se boli
Saqmbhaalo apni qismat ko
Main aur vo khelte aankh michauli
Kahaani tumri khatam huyee
Ladkaa kya kya kar saktaa tha
Ye na tnmko samajh huyee
Nazar kabhi dhokha hai deti
Maine uski aatma dekhi
Voh ek ladka hai
Aur main ek ladki hun
Is ke aage aur kuchh kahun
Dekhaa nahin tumne kitna pyaar hum karte hain
Ek doosre mein hum donon gharm saansen bharte hain
[Maine apne skater ko show ke liye vidaa kiya
Main show ke baad milungi us se ye vaada kiya
Hum mil ke geet gaayenge us abhaagee ke liye
Jisne sona thukraa diya peetal paane ke liye]-2

Комментарии