--MALE--
Saathiya, saathiya
Maddham maddham teri geeli hansi
Saathiya, saathiya
Sunke humne saari pee li hansi
(Hansti rahe tu hansti rahe
Haya ki laali khilti rahe
Zulf ke neeche gardan pe
Subah-o-shaam milti rahe) - 2
Saundi si hansi teri khilti rahe milti rahe
Peeli dhoop pehenke tum dekho baag mein mat jaana
Bhanwre tumko sab chhedenge, phoolon mein mat jaana
Maddham maddham hans de phir se
Sona sona phir se hans de
Taaza gire patte ki tarah sabz-e-laan par lete hue
Saat rang hai bahaaron ke, ek ada mein lapete hue
Saawan bhaadon saare tumse
Mausam mausam hanste rehna
Maddham maddham hanste rehna
Saathiya, saathiya
Maddham maddham teri geeli hansi
Saathiya, saathiya
Sunke humne saari pee li hansi
Kabhi neeli aasmaan pe chalo ghoomne chale hum
Koi abr mil gaya to zameen pe baras le hum
Teri baali hil gayi hai
Kabhi shab chamak uthi hai, kabhi shaam khil gayi hai
Tere baalon ki panaah mein yeh siyaah raat guzre
Teri kaali kaali aankhen koi ujli baat utre
Teri ek hansi ke badle
Meri yeh zameen le le, mera aasmaan le le
Saathiya, saathiya
Maddham maddham teri geeli hansi
Saathiya, saathiya
Sunke humne saari pee li hansi
Barf giri ho vaadi mein
Un mein lipti simti hui
Barf giri ho vaadi mein
Aur hansi teri goonje
Un mein lipti simti hui
Vaat kare, dhuaan nikle
Garm garm ujla dhuaan, narm narm ujhla dhuaan

Комментарии