Guru paas rahein ya door rahein
Guru paas rahein ya door rahein
Nazron mein samaye rehte hain
Unki vaani raspaan karo
Bas kirpa isi ko kehte hain

Jeevan ki ghadiyan thodi hain,
Duniya ki manzil lambi hai
Chodi guru pe zimmevari
Woh paar lagaye rehte hain

Guru paas rahein ya door rahein
Nazron mein samaye rehte hain
Unki vaani raspaan karo
Bas kirpa isi ko kehte hain

Sukh aata aap nazar aate
Dukh mein bhi dheeraj bandhwate
Sukh-dukh mein ek hi chetan hai
Yeh gyan dilaye rehte hain

Guru paas rahein ya door rahein
Nazron mein samaye rehte hain
Unki vaani raspaan karo
Bas kirpa isi ko kehte hain

Jis ansh se yeh sansaar banaa
Us ansh ke tum bhi anshi ho
Maya mein fas kar bhoole ho
Yeh yaad dilaye rehte hain

Guru paas rahein ya door rahein
Nazron mein samaye rehte hain
Unki vaani raspaan karo
Bas kirpa isi ko kehte hain

Choti si baat yeh jaanani hai
Prati shvaas shvaas ko dekho tum
Preetam ka nis-din dhyan karo
Yahi vakya sunaye rehte hain

Guru paas rahein ya door rahein
Nazron mein samaye rehte hain
Unki vaani raspaan karo
Bas kirpa isi ko kehte hain

Comments