Gurudev daya kar do mujh par
Gurudev daya kar do mujh par
Mujhe apni sharan mein rehne do
Is gyan ke sagar mein swami
Mujhe nirmal gaagar bharne do
Tumri sharan mein jo koi aaya
Paar hua woh ik pal mein
Is dar pe ham bhi aaye hain
Is dar pe guzara karne do
Gurudev daya kar do mujh par
Mujhe apni sharan mein rehne do
Is gyan ke sagar mein swami
Mujhe nirmal gaagar bharne do
Sar par chaaya ghor andhera
Sujhat naahi raah koi
Yeh nain mere aur jyoti teri
In naino ko bhi behne do
Gurudev daya kar do mujh par
Mujhe apni sharan mein rehne do
Is gyan ke sagar mein swami
Mujhe nirmal gaagar bharne do
Chaahe dubo do, chaahe taraa do
Mar bhi gaye to denge dua
Yeh naav meri, aur haath tere
Mujhe bhav sagar se tarne do
Gurudev daya kar do mujh par
Mujhe apni sharan mein rehne do
Is gyan ke sagar mein swami
Mujhe nirmal gaagar bharne do