Tere jaisa kaun hai
Satguru har aankh mein tera noor hai

Nazro se reh kar door bhi
Kisi dil se na tu door hai

Tere jaisa kaun hai
Satguru har aankh mein tera noor hai

Tera sachchidanand roop hai
Darpan mein toone dikha diya

Tere dar pe mein faqeer/faqir tha
Toone kya se kya bana diya

Tere haath se piya jo
Usi jaam ka saroor hai

Tere jaisa kaun hai
Satguru har aankh mein tera noor hai

Nazro se reh kar door bhi
Kisi dil se na tu door hai

Tere jaisa kaun hai
Satguru har aankh mein tera noor hai

Tere naam se hi bahaar hai
Aabad hai meri zindagi

Har shvas mein teri yaad hai
Teri yaad hai meri bandagi

Mein teri tu mera hai
Yahi pyaar ka dastoor hai

Tere jaisa kaun hai
Satguru har aankh mein tera noor hai

Nazro se reh kar door bhi
Kisi dil se na tu door hai

Tere jaisa kaun hai
Satguru har aankh mein tera noor hai

Ab manzilon ki chaah nahin
Lehron (mein) saahil paa liya

Kisi baat ka ab gam nahin
Jeena mujhe hai sikha diya

Chaahe gam de ya khushi
Mujhe sab tera manzoor hai

Tere jaisa kaun hai
Satguru har aankh mein tera noor hai

Nazro se reh kar door bhi
Kisi dil se na tu door hai

Tere jaisa kaun hai
Satguru har aankh mein tera noor hai

Comments